Ek kashti leke chalta hoon main
Kis oar jaana , kabhi socha nahi
Har roz lahron pe bhatakta hoon main
Ek kashti leke chalta hoon main
Kabhi door koi dikh jata hai kinare pe
Kabhi mitti ki dhundhli si mahak aati hai
Ab jaane mein hichkichata hoon udhar
Kya pata kaun rahta ho us paar
Kabhi ye dhoop jhulsa deti hai
Kabhi hawaein suna deti hai lori
Barasta paani gale laga jaata hai
Main aur saathi mera , ye samundar
Kitne baith ke gaye is kashti mein
Par har koi utar jata apne chhor pe
Main toh hawaon ke sahare chalta hoon
Jis oar le jaaye , is gahre paani mein
Ye sunsaan sagar , ye lahron ka shor
Kya aadi ho gaya hoon inka ?
Dar lagta hai bhanvar mein fasne ka
Is chhoti si kashti mein sahamta hoon main
Ek kashti leke chalta hoon main …
Ek kashti leke chalta hoon main …
Yeh kashti teri manzil nahi,
ReplyDeleteyeh dariya hai saahil nahi,
Kashti khene mein laga hai yoo,
Teri manzil kahi dhundhli to nahi...?
wow-is there any genre that you have not tried and not excelled in?:-)
ReplyDeletevery deep and beautiful lines:-)
gooooodddd
ReplyDeleteother than in school, I've never been into hindi poetry...part of the fact is that I'm pretty scared n sure that I won't understand it...
ReplyDeletebut you proved that one does not need to know the words, if you get the emotion behind them correctly...:)
very very interesting :)
Man , you have a gift for poetry . Awesomeee ;)
ReplyDelete