Haathon mein kas ke saheje hue
Ye panne dhundle lagte hai
Ek maadak si sugandh samete
Ye kagaz sunahre lagte hai
Palat palat ke dekhta hoon inhe
Ki inki kahaniyan na bhool jaoon
Kahin syaahi dhoomil ho gayi hai
Kahin panne swaym dhool saman
Us bhishan dhoop mein syaahi sookhi thi
Kabhi seene se laga varsha se bachaya tha
Kuch kahaniyan kamal patron par likh baha di
Kuch devtaon ,apsaraon ki kreeda
.. Kuch par rakt pipasi aghoriyon ka saaya tha .
Kuch panne swaym maine bhasm kiye
Kuch panne kuch aur logon ke naam
Kuch panne kore hi saheje hai
Ki unki kahaniyan syaahi ki mohtaaj nahi
Kabhi asha thi ki ek kitaab bana doonga
Ki piro kar inhe kavitayein likhoonga
Par bikhare ,dhundhle panne pade kaun ?
Bas haothon mein kas ke sahejta hoon main
Kas ke sahejta hoon main
I knew you were good with your Hindi-but didn't know you were this awesome with Hindi poetry and I looooooooooooooooooooooUve the new look of the blog-so YOU in so many ways-basic, simple yet solid!:-)
ReplyDeleteGood expression for those old letters which give emotional feelings beyond comparison
ReplyDelete