Tuesday, July 12, 2011

Hum aur humara Lucknow ...

3 years in Chennai …
And the first thought , “Haaye mera Lucknow :-( “

Yes , lemme start by saying that I am accustomed to Chennai now . But , I have this feeling that even if you leave me in New York for free …I’ll still crave for “Hamara Lucknow” !

Kya bataoon …kabhi kabhi toh lagta hai “Kahan fans gaye yaar ! “
Uff ..wo shaam ko Lucknow ki galiyon mein ghoomna … idhar udhar kahi chaat ka thela dikh jaaye…bas toot pado !
Aur wo hamare Lucknow ke rikshe … thunse huye tempo … gaadi se paan thookte huye driver .
Wo galiyon ke kinaro pe paan ki dukaane … aur full volume mein bajte hindi/bhojpuri gaano ka shor .
Aur jab Independence Day hota tha , hamare chaurahe pe desh bhakti ke gaane bajte the !
Wo St.Francis’ ki gali …shara ganj mein laga “nauchandi ka mela” .
Haaye … wo La Marts’ aur Loreto ke gates ;)
Wo Cathedral ke opposite milti Pav Bhaji ...Jone Hing..Moti Mahal ..
Wo raat mein “aive hi“ ganjing karna ...
Wo chhote chhote “apne wale“ adde ...
Aur “aye bhaiya ji …tanik ek KADAK chai dijiye jara “
Hanuaman Setu ki wo moorti …. Raat mein Gomati bhi nala nahi lagti thi

Aur hamare Lucknow ki bhasha ... uff ! Koi “ama yaar” bol deta hai …toh mann karta pappi le loon bande ki !
Kabhi kabhi toh shuddh desi hindi mein gaaliyan sunne ko taras jate hai .
Wo IT ke paas lagi patakhon aur rango ki dukaaein . Teen saal ho gaye wahan gaye hue
( Aur yaar …Ayyaganj !! kaise bhool sakte hai )
The morning mass in Cathedral on Sundays …
Aur Eed pe Sevaiyaan aur biryaani  … !!

Chung Fa se leke Tundey ke Kabab !
WO Chowk ki galiyan ...by God ! Hamari amma shopping karti thi aur hum pate pooja .
Wo “saahu” mein movie dekhen jaana …
Almabagh ke gaddhe ... Charbagh mein samaan leke bhagna .
Gomti nagar mein full speed mein driving ... the quiet and calm that area possesses ..amazing !
Radio pe “baais-batees-do-sau-batees” !

The old world charm my Lucknow has..
As if everything is OK …Life’s peaceful . Mast raho , mast khao .. kaahe ki tension hai .

LOVE YOU LUCKNOW !! :D

3 comments:

  1. oye hoye-i could almost picture you hugging a pillar in Hazratganj and reciting this beautiful ode:-)

    awww..."amma yaar"-lucknow must be proud of you-itnaaaaaaaaaaa pyar...n the galfriends would be a tad jealous;-)

    ReplyDelete
  2. Awesome I'm missing my Lucknow too much

    ReplyDelete